Mazar_Dargah & Auliya
Yaad Rahe Musalmaan 2 Tarah Ke Hai'n, Ek To Aa'm Momineen Aur Doosre Ulama, Mashaa'ikh, Auliya Allaah Jinki Ta'zeem Wa Tauqeer Dar Haqeeqat Islaam Ki Ta'zeem Hai, Aa'm Momineen Ki Qabro'n Ko Pukhta Banaana Ya Unpar Qubba Wagairah Banaana Choo'nke Be Faa'idah Hai Isliye Mana Hai, Haa'n Uspar Mitti Wagairah Daalte Rehna Chaahiye Taake Uska Nishaan Na Mit Jaaye, Faateha Wagairah Padhi Ja Sake, Jaa'iz Hai, Aur Ulama, Mashaa'ikh E Izaam, Auliya Allaah Jinki Mazaaraat Par Khalqat Ka Hujoom Rehta Hai, Log Wahaa'n Baith Kar Qur'aan Khwaani Wa Faateha Wagairah Padhte Hai'n, Saahib E Qabr Ke Iz'haar E Azmat Keliye Uske Aas Paas Saaye Keliye Qubba Wagairah Banaana Shar'an Jaa'iz Hai Balke Sunnat E Sahaaba Se Saabit Hai.
Allaama Ismaa'eel Haqqi Alaihir Rehma Qur'aan E Kareem Ki Sureh Tauba Aayat No.18 Ke Tahet Farmaate Hai'n Ke Ulama Aur Auliya Saaliheen Ki Qabro'n Par Imaarat Banaana Jaa'iz Kaam Hai Jabke Usse Maqsood Logo'n Ki Nigaaho'n Me'n Azmat Paida Karna Ke Log Uss Qabr Waale Ko Haqeer Na Jaane'n. (Tafseer Roohul Bayaan, Sureh Tauba, Tehtul Aayah 3, 18/400)
Hadees Shareef Me'n Hai Ke Jab
Reference: (Sunan Abu Daawood, Kitaabul Janaa'iz, Jild No.3, Safha No.212, Hadees No.3206)
Bukhaari Shareef Kitaabul Janaa'iz Babul Jareed Alal Qabr Me'n Ta'leeqan Hai Ke Hazrat Khaarja Farmaate Hai'n Ham Zamaana E Usmaan Me'n The. Ham Me'n Bada Koodne Waala Woh Tha Jo Usmaan Ibne Maz'oon Ki Qabr Ko Phalaa'ng Jaata.
Reference: (Bukhaari Shareef, Hadees No.1361)